Tuesday, October 29, 2013

Aakhir kyu........???????

kyu kisise itana lagav ho jata he...?? jissa ke saath puri umar guzarane ka ...uske saath nibhane ka maan karata he.....par jab ye baat jagati he maan me to kyu vo sari chize rasteme aati hai...kya  sab soch soch k kisise pyar karana padata hai....?? kya bhavanao ka koi mahatav nahi hai..?? kya do alag alag insaan ek saath achchhi zindagi nahi bita sakate..??kahete he ki duniya 21st  century me hai...aur sari chize..aur sari baatain mayane nahi rakhati....par sach to ye he ki abhi bhi ham usi samay par atake hue hai jaha ye sari baatain ko ..... soch ko pradhanya diya jata tha.....bahi bhi caste, religion ko leke sawal khade ho jate hai.......kyo do insaan k beech ek achchhi understanding ho vo jaruri nahi hai....?? do insaan  ek dusare ko samaj kar puri zindagi sath khushi se bitaye ye  jaruri hai ya ye jaruri hain ki vo dono ek hi samaj ..ek hi caste .... ek hi religion se jude ho.....??
kya pyar, bhavana, khushi ka in sab k samane koi mahatav nahi hai....?? kya ek adhura insaan ek pure insaan k sath jud kar khud ko pura karane ki khawaish nahi rakh sakata...??
kya do pure insaan hi ek dusare ka saath de sakate hai.....??
kya unke andar vo pyar aur bhavanaye nahi hoti jo aam insaano me hoti hai....??
kya ham apani soch badal nahi sakate..??
kya ham khud ko kisike saath jod kar kisiko khushi nahi de sakate ..??
ham ye soch nahi badal sakate ki ham jo de rahe he vo hame bhi milana jaruri he.....??
kahete he ki soch ka dayara simit nahi hota......par ham ne to hamari soch k dayare ko hi ek dayare me kaid kar rakha hai.......
aakhir kyu hame in savalo ka javab nahi milata..............?? ya hame malum he fir bhi ham kyu bol nahi pate.....??
aakhir kyu........?? aakhir kyu.....????