Tuesday, October 29, 2013

Aakhir kyu........???????

kyu kisise itana lagav ho jata he...?? jissa ke saath puri umar guzarane ka ...uske saath nibhane ka maan karata he.....par jab ye baat jagati he maan me to kyu vo sari chize rasteme aati hai...kya  sab soch soch k kisise pyar karana padata hai....?? kya bhavanao ka koi mahatav nahi hai..?? kya do alag alag insaan ek saath achchhi zindagi nahi bita sakate..??kahete he ki duniya 21st  century me hai...aur sari chize..aur sari baatain mayane nahi rakhati....par sach to ye he ki abhi bhi ham usi samay par atake hue hai jaha ye sari baatain ko ..... soch ko pradhanya diya jata tha.....bahi bhi caste, religion ko leke sawal khade ho jate hai.......kyo do insaan k beech ek achchhi understanding ho vo jaruri nahi hai....?? do insaan  ek dusare ko samaj kar puri zindagi sath khushi se bitaye ye  jaruri hai ya ye jaruri hain ki vo dono ek hi samaj ..ek hi caste .... ek hi religion se jude ho.....??
kya pyar, bhavana, khushi ka in sab k samane koi mahatav nahi hai....?? kya ek adhura insaan ek pure insaan k sath jud kar khud ko pura karane ki khawaish nahi rakh sakata...??
kya do pure insaan hi ek dusare ka saath de sakate hai.....??
kya unke andar vo pyar aur bhavanaye nahi hoti jo aam insaano me hoti hai....??
kya ham apani soch badal nahi sakate..??
kya ham khud ko kisike saath jod kar kisiko khushi nahi de sakate ..??
ham ye soch nahi badal sakate ki ham jo de rahe he vo hame bhi milana jaruri he.....??
kahete he ki soch ka dayara simit nahi hota......par ham ne to hamari soch k dayare ko hi ek dayare me kaid kar rakha hai.......
aakhir kyu hame in savalo ka javab nahi milata..............?? ya hame malum he fir bhi ham kyu bol nahi pate.....??
aakhir kyu........?? aakhir kyu.....????

Sunday, August 4, 2013

purani yaad dard ......

Insaan ki sabase achhi baat he ki vo sab yaad rakhata he .......
ham hamari kamjorio se itana pyar karate he ki ham usse apana saathi bana lete he........
usse ham hamari pahechan bana lete he........
usse hame dard milata he par janate hue bhi ham usse khud se alag nahi kar pate..........
hamara dil ek dam sidha sada he par ham usse khud takalif dayak bana dete he........
hamare dil me vo sari purani yaade ham sajoke rakhate he......
chahe vo bhuri ho ya dukh dene vali........
ham us yaad ko itani samabhal kar rakhate he ki ham janate he ki vo hame dard deti he......
par vo hame hamare dil me ham kaid karake rakhate he.....
dil me jab dard hota he jo hame andar se kamjor kar deta he.......
usse apane andar mat pal ne do....
kisina kisi bahane usse bahar nikal do........
mere dar main likh kar apane paas rakhati hu.......
likhana achhi baat he ......
par har likhavat khushiya hi likhe ye jaruri nahi he...........
kalam har jasbaat ko sahara deti he.....
khushi ko ham kud kud kar ya khub haas haas kar bayan karate he........
jab ki dukh ko ham dil ke ek kone me pade rahene dete he......
usko itana dil ke andar kaid karate he ki vo kabhi kabhi nasoor ban jata he...
aur andar pada pada dil ko, uske jasbaat ko puri zindagi ko andar se kuredane lagata he ......
aur pura khokhala bana deta hai.....
sari jine ki wajah ko kha jaata hai........
to usse apane dil me jagah mat do.....
usse ek kiraye dar ki tarah rakho.....
ha garar fir bhi ziddi he to usse kalam se in panno par utar lo......
taki usse bhi ek jagah mile hamesha k liye.....
apane aap me ek duniya banalo par khud ko simit mat rakho........
ha har insan k jivan me kuch na kuch aata  jaat hai.......
par vo har ek chiz ko ek hasi mod deke jane do......
ye kahena bahot aasan he par karana mushkil hai.......
par mere dost agar ham chahe to sab mumkin hota hai.......
koi hamari zindagi me nahi hai to ye mat socho ki vo nahi hai........
afsos mat karo par jo pal uske saath bitaye he usse yaad karo...
vo har pal hame khushiya hi dega....
aur hamesha chahere par smile hi layega.......
 

Thursday, June 6, 2013

smile......

Smile.......

khushi.......ye ek aisa word he ki jo hame sare gamo ko bhuala ne me help karat he ..........khushi ...... hasi..... ye sab feel karane ka ahesaah he.....hasi ka matalab ye nahi he ki ham jor jor se hase ..........ye vo ahesaah he jise hame dil se hota he.......hamare chahere par jab 10.10 mint hote he to samajo ki hama khush he........jab ghadi me 10.10 mint hote he to vo smile ka symbol hota he......to jese ham nirash hote he to hamare chahere par 12 baje hote he to issi tarah jab khush hote he to samajo ki hamare chahere par 10.10 mint baje hote he........matalab halaki si smile aati he .........hamare aas paas aisi bahot sari chize hoti he jisse hame khushi milati he......bas hame thoda usse khojane ki jarurat he........ham hamesha achchhe ki talash me bahot dur chale jate he .............jab ki sari achchhi chize hamare aas paas hi hoti he bas hame usse dekhane ki jarurat he.........jab ham kahi bethe hote he  and hamare aas paas koi koi bacha khel raha hota he ... and jab ham usse khelate hue dekhate he and jab uss time hame jo khushi milati he usse hi real khushi kahete he....jab ham kisike saath hote he vo pal jo hame bahot pasand aate he ham uss pal se bahar nahi aana chahate ........kisiko ek dusare ke saath hote huee khushi milati he ..........to koi dosto me apani khushi dhundhata he..........koi hota he jo akelepan me apani khushi dhundhata he........jo usne apne saath bitaye pal yaad karake milati he........maa ke chahere par vo smile tab dikhati he jab beta maa ko apani paheli salary unke haath me deta he.....papako ke chahere par smile tab dikhati he jab unki beti unki shaan banti he.......... jab barish ki paheli bundh dharti par girati he tab pyasi dharai ko khushi milati he.........jab dulhan ke haatho me sajan ki mahendi lagati he....tab jo smile aati he uske chahere par uski kimat ka koi mol nahi hota......... jab bacha pahela kadam rakhata he .......to maa papa ke face par jo smile hoti he vo anmol hoti he........... jab chhota bhai apana pocket-money me se gift lata he tab .................jab koi pyara lagata he aur vo bina bataye aapko gale lagata he tab ...............jab hamara exam result fail ki vajaye pass huaaa aata he tab.........jab cheek par ek pimple achanak gayab ho jata he tab............tab .......tab.......ye smile hamare face par 10.10mint lati he..........bas hame aas paas dekhane ki jarurat he........mera ye likha huaa padhane k  baad agar aapke face par 10.10mint bajate he to samjo maine bhi ek smile pa li.......
so....frds............keep simlling........
hamesha apane chahere par 10.10mint rakho........
take care.............. 

Saturday, June 1, 2013

Intazaar.........

Intazaar ............
kyu ham kisika intazaar itna karate he ki puri zindagi hame aur kuch samaj nahi aata..........jab samane koi na ho to aisa lagata he ki hamari saath koi hona chahie.....jab hota he to ye lagata he ki kya ye vahi he jiska hame intazaar tha.......par ye sab to upar wala hi janata he.......ki kab kya hone vala he.....bas sache dil se jie jav and khushiya bate jav.....intazaar sirf pyar karane valo ka nahi hota....ye to vo ahesaash he ki jiski hame hamesha se aash raheti he..........vo kam milega ? ya kab aayega uska besabarise ham intazaar karate he.....ek maa apane bache ke janam ka intazaar karati he.......9 mahine jav vo usko apane khokh me palati he..uske liye bahot sare sapane bunti he ......vo uski zindaki ka sahara banega.....aur bahot kuch jo ek maa sochati he.....vo maa intazaar karati he apane bache ka is duniya me aane ka......vo he intazaar........ ek bacha jab school me betha he ki jab school ki chhuti hogi to uske papa usse lene aayenge......vo chhuti k baad scholl ke gate par apane papa ka intazaar karata he.......ki ab papa aayenge ......vo he intazaar...... ek ladaki jo shadi ke jode me saji dhaji bethi he ......vo sochati he ki ab aayega mera dhulha aur muje apane saath le jayega .....vo saje jode me apane dulhe ka intazaar karati he ............vo he intazaar...........jab meera apaen gite me apane krishan ko yaad karati he.......aur sochati he kabhi to aayega mera krishana........ vo he intazaar........sirf premi nahi karate ek dusare ka intazaar...........ye sirf ek lamaha he jo ham sab chahate he ki kisi na kisi tarah haamri zindagi me aaye.....chahe vo kisi bhi roop me ho.........

jese muje intazaar he ki ye likhane ke baad isse koi padhe ...........ye mera intazaar he ............intazaar..........